Udit Narayan - Papa Kehte Hain Bada Naam Karega Lyrics


Udit Narayan Lyrics

Papa Kehte Hain Bada Naam Karega Lyrics
Papa kehte hain bada naam karega
Beta hamara aisa kaam karega
Magar yeh to koi na jaane
Ki meri manzil hai kahan

Papa kehte hain bada naam karega
Beta hamara aisa kaam karega
Magar yeh to koi na jaane
Ki meri manzil hai kahan
Papa kehte hain bada naam karega

Baithe hain milke sab yaar apne
Sabke dilon mein armaan yeh hai
Baithe hain milke sab yaar apne
Sabke dilon mein armaan yeh hai
Wo zindagi mein kal kya banega
Har ek nazar ka sapna yeh hai
Koi engineer ka kaam karega
Business mein koi apna naam karega
Magar yeh to koi na jaane
Ki meri manzil hai kahan
Papa kehte hain bada naam karega

Mera to sapna hai ek chehra
Dekhe jo usko jhoome bahar
Mera to sapna hai ek chehra
Dekhe jo usko jhoome bahar
Gaalon mein khilti kaliyon ka mausam
Aankhon mein jaadu honthon mein pyaar
Banda ye khoobsurat kaam karega
Dil ki duniya mein apna naam karega
Meri nazar se dekho to yaaron
Ki meri manzil hai kahan
Papa kehte hain bada naam karega


Soundtracks / Top Hits / One Hit Wonders / TV Themes / Song Quotes / Miscellaneous